Popular Posts

Saturday, June 11, 2011

Shairy22


Kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,
Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,
Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,
Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,
Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the…..
Kal yaad buhat tum aye the…..

Friday, June 10, 2011

Shairy21


Udaas Logon ki Bastion mein.
Wo Titlion ko Talash Kerti..
Wo Aik Larki..
Wo Gol Chehra Wo Kali Aankhain..
Jo Kerti Rehti Hazaar Baatain..
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi..
Wo Aik larki..
Wo Mohabbaton K Nisaab Janay..
Wo Janti Hai Ehad Nibhanay..
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi..
Wo Aik Larki..
Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhay..
Wo Saari Duniya ko Acha Samjhay..
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli..
Wo Aik Larki

I love You Maa


Apnay qadmoon main day day jaga
Apna Saya Bana lay mujay
Apni narmi seka day mujay
Dair jab bi hoi ghar main atay mujay
Main nay dakha kay Maa mere soi nahi
Maray khoon ka har ek qatra yeh khnay laga
Mere Maa tum say barh kar koi nhi
Maa! pyari Maa

Dialogue



Zindagi Me Teen Cheez Kabhi Underestimate Nahin Karna (I , Me & MySelf)

Tuesday, June 7, 2011

Shairy20



SHAYAD MERI MOHABBAT

Ek Kasak Dil Me Dabi Reh Gayi
Zindagi Me Unki Kami Reh Gayi
Itni Ulfat Ke Baad Bhi Wo Mujhe Na Mili
Shayad Meri Mohabbat Me Kuchh Kami Reh Gayi

DIL KI AWAZ

Kalam Chalta Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon…

HASTI MITAKAR BHI TANHA

Hum Apni Hasti Mitakar Bhi Tanha Hain
Sab Kuch Luta Kar Bhi Tanha Hain
Log Door Tak Jate Hain Kisi Ke Liye
Aur Hum Uske Paas Rehkar Bhi Tanha Hain…

KANCH KE PAIMANE

Unko Khabar Hai Mere Tute Armaano Ki
Aaj Zarurat Padegi Kanch Ke Paimane Ki
Khali Na Hone Dena Jaam Yaaro
Varna Phir Yaad Aayegi Guzare Zamane Ki…

Shab-e-Gham

Jahan Phooloun ko khilna tha, Waheen Khiltey To Acha Tha, Tumhi ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha.

Koi Aa kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai, Tumhare Khat ko Ashkoun se, Shab-e-Gham mein Jalaya Hai Hazaroun Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.”

Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad aayi Hai, Bahar-e-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai. Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.

Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadoun ki Jhilmil mein, Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein. Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha.

” Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha

SHEESHE KI TARAH

Main Us Ke Haatho Mein Tha
Tute Hue Sheeshe Ki Tarah
Badi Umeed Thi Ke Bikhrane Nahi Dega
Bas Giraya Kuch Is Ada Se Ke Simatne Ki Aas Hi Na Rahi…

NASEEB SE SHIKAYAT

Khamosh Guzar Jate Hain Wo Kareeb Se
Sawal Uth Te Hain Dil Mein Ajeeb Se
Wo Khafa Hai Ya Ye Unki Ada Hai
Shikayat Bhi Kya Kare Apne Naseeb Se…

YAADO KE SAHARE

Aap Ki Dhadkan Se Hai Rishta Humara
Aap Ki Saanso Se Hai Nata Humara
Bhool Kar Bhi Kabhi Bhool Na Jana
Aap Ki Yaado Ke Sahare Hai Jina Humara…

Hansata hai ishq rulata hai ishq

Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ rang kaise kaise dikhaata hai ishQ

Daulaat hai ishQ ,shohraat hai ishQ Husan ke bazaar main bikta hai ishQ

Izhaar hai ishQ,aur Inkaar hai ishQ Dil ko beqaraar bhi kar deta hai ishQ

Deedaar hai ishQ, iNtezaar hai ishQ har koi Duao.n maiN mangta hai ishQ

kahiN aabaad, kahiN barbaad hai ishQ Mausam ki tarah karwat badalta hai ishQ

Hai mandir main ishQ,masjid maiN ishQ Khuda bhi apne bando.n se kaarta hai ishQ

IshQ ki chiNgari se bachale damaN “Faraz” rabb ki QASAM bahot tadapata hai ishQ

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha Dahekti aag thi tanhayi thi fasana tha.

Ghamon ne baant liya hai mujhe yun aapus main Ki jaise mai koi loota hua khazana tha.

Ye kya ki chand hi kadmon pe jhuk ke baith gaye Tumhe to saath mera door tek nibhana tha.

Mujhe jo mere lahoo main dabo ke guzra hai Wo koi ger nahin yaar ek purana tha.

Khud apne he haath se ‘Mohsin’ usko kaat diya Ki jis Ki taref se pahle ye aashiyaana tha.

Tu jo aa jaaye to

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!

Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!

Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!

Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!

Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!

Shairy19



YEH DIL UNPE MARTA HAI

GuZartein Hain Wo Saamne Jab Bhi Mere
To Yeh Mousam Haseen Ban Jata Hai
Udti Hui Unki Zulfon Ke Saaye Mein
Chand Bhi Aksar Sharma Jata Hai
Tareef Nahin Kar Sakta Unki Chand Alfazon Mein
Yeh Dil Itna Unpe Marta Hai Ki Shayar Ban Jata Hai…

TERE ISHQ MEIN BADNAAM

Tere Woh Gaane Mein Kai Mood, Aur Kai Zamane Hai Hazar
Tanhai Mein Dil-E-Bekarar, Khud Tere Ishq Mein Rahi Badnaam
Ashk-E-Tar Mein Didaar Tera, Na Ummid-E-Tajdiid-E-Vafaa
Qalb-E-Jaan Qurbat-E-Gul Khila, Gam-E-Ishq Ne Shikast Diya

WO JO MUSKURATE HAIN

Wo Jo Muskurate Hain To Dil Ko Ghayal Kar Jaate Hain
Khud Ko Bhoola Kar Bas Unko Dekhte Reh Jaate Hain
Koi To Baat Hai Zaroor Unki Kaatil Aadaon Mein
Sambhalte Hain Khud Ko Magar Unki Taraf Khiche Chale Jaate Hain…

AANKHO SE

Surkh Ankho Se Jab Vo Dekhte Hain
Hum Ghabra Kar Aankhe Jhuka Lete Hain
Kaun Milaye Un Aankho Se Aankhe
Suna Hai Vo Aankho Se Apna Bana Lete Hain…

DHADKANO MEIN BHI TUM

Dil Ne Kiya Majboor Kuch Is Tarah
Ke Khwabo Mein Bhi Tum Aane Lage
Raat To Kaate Nahi Kat-ti Thi Aur Ab To
Dhadkano Mein Bhi Tum Samane Lage…

MAIN JISE CHAHTA HU

Dil Ki Har Baat Zamane Ko Bata Deta Hu
Apne Har Raaz Se Parda Utha Deta Hu
Chahne Wale Hume Chahe Na Chahe
Main Jise Chahta Hu Jaan Luta Deta Hu…

DIL SE PYAR

Upar Se Gussa Dil Se Pyar Karte Ho
Nazrein Churate Ho Dil Bekrar Karte Ho
Laakh Chhupao Duniya Se Mujhe Sab Pata Hai
Tum Mujhe Apne Aap Se Ziyada Pyar Karte Ho…

MERA CHAND

Meri Band Aankho Ka Sacha Khwab Ho Tum
In Tanhaiyon Ke Sawalo Ka Jawab Ho Tum
Ab To Duniya Bhi Rooth Jaye To Gam Na Hoga
Meri Duniya, Kaynaat, Mera Chand Ho Tum…

PYAR KA MATLAB

Pyar Ka Matlab Khushi Aur Gham Hota Hai
Pyar Ka Matlab Hasna Aur Rona Hota Hai
Log Samajh Na Sake Pyar Ko
Pyar Ka Asali Matlab Jeena Aur Marna Hota Hai…

BAHUT PYAR DIL MEIN

Aaj Bhi Ek Sawaal Hai Dil Mein
Pyar Ka Gham Be-Shumaar Hai Dil Mein
Kuch Keh Nahi Pata Yeh Dil Magar
Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Iss Dil Mein…

Shairy18


KHUSHI KA EHSAAS:
Zindagi Kuch Chhoti Pad Gayi To Koi Gam Nahin
Usko Tera Pyaar To Mila
Bahut Aansu Chupaye Baithe The Hum Dard-E-Jigar Mein
Unke Chalakte Hi Dil Ko Karaar To Mila
Ab To Bas Chand Saansein Bachi Hain Jeene Ke Liye
Teri Wajah Se Unko Beete Lamhon Ki Khushi Ka Ehsaas To Mila…

NAZARAIN PYAR KI PIYASI:
Mausam Mein Kuch Nami Thi, Halki Halki Bunda Barish Thi
Bikhre Gesuu Tere Rukhsana, Hua Sharm-O-Haya Dil-E-Nishaana
Rukh Pe Tabassum Ki Lali, Nargis Nazrein Pyar Ki Pyasi
Hont Shabnam-E-Shauq-E-Talab, Taskiin-E-Dil Rezaa Rezaa Alag…

AWAL AWAL KI MOHABBAT:

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar bay piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan

akhir akhir tu ye aalam hay kay ab hosh naheen rug-e-meena sulag uthi kay rug-e-jaan jaanaan

mudatoon say yehi aalam na twaku na umeed dil pukaray hi chalay jaata hay jaanaan jaanaan

hum bhi kia sada thay hum nay bhi samajh rakha tha ghum-e-doraan say judaa hay ghum-e-jaanaan jaanaan

ab kay khuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan sar ba zanoo hay koi sar bagiraybaan jaanaan

har koi apni hi awaz say kaanp uthta hay har koi apnay hi saye say hirassan jaanaan

jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagtaa hay shehar ka shehar hua dakhil-e-zindaan jaanaan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aye aur say aur hoye dard kay unwaan jaanaan

hum kay roothi hui rut ko bhi mana letay thay hum nay dekha hi naa tha mousam-e-hijraan jaanaan

hosh aya tu sabhi khwaab thay reza reza jaisay urtay hoye awrak-e-pareeshaan jaanaan..

Shairy17


KITNE DIL FANAA HUE:
Kitne Dil Fanaa Hue Teri Raah-E-Aashiqii Mein
Daur-E-Bewafa Ka Sil Sila Mein Loot Gayee
Hui Badnaam Qasur-E-Ishq Mein Mohabbat Meri
Haal-E-Mahajuurii Mein Jaan Meri Niklati Gayee…

IZHAR-E-MOHABBAT:
Izhaar-E-Mohabbat Ki Humne Aapne Hum Par Aitbaar Kiya
Sooni Padi Bematlab Zindagi Ko Aapne Ek Aayaam Diya
Yun Laga Ek Pal Mein Humne Saare Jahaan Ko Pa Liya
Apni Zindagi Ka Har Lamha Aaj Se Aapke Naam Kiya…

KHAMOSH HAI MOHABBAT:
Chahat Se Teri Ankho Mein Dube, Nafrat Se Aansu Bankar Uchle
Gire Jo Farsh Pe Toote Aise, Rehza Rehza Dil Bikhra Jaise
Umeed-E-Wafa Kare Kaise, Zubaan-E-Haal Kahe Kis Se
Salaam-E-Dil-E-Muztar, Khamosh Mohabbat Mein Hai Intezar…

DUKH KAM NAHIN HOTE:
Bolta Nahi Koi Isliye Zamane Se
Ke Log Toot Jate Hain Faisle Sunane Se
Kyu Udaas Baithe Ho Is Tarah Andhere Mein
Dukh To Kam Nahi Hote Roshni Bujhane Se..

TOOTA HAI JABSE:
Wo silsilay wo shoq wo nisbat nahi rahi…

Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi rahi…

Toota hai jab se us ki masihai ka talisam… Dil ko kisi maseeha ki hajat nahi rahi…

Phir yun hua ke koi shanasa nahi raha… Phir yun hua ke dard mein shiddat nahi rahi…

Phir yun hua ke ho gaya masroof wo bohat… Aur hum ko yaad kerne ki fursat nahi rahi…

Ab kya kisi ko chahein ke hum ko to in dino… Khud apne ap se bhi mohabbat nahi rahi…!


Shairy16


JAB ISHQ JAWAN:
Baarish Ki Boondon Ka Aapke Hothon Se Fisalna
Dil Ko Ghayal Kar Jata Hai
Reshmi Julfon Mein Unka Sarakna
Dil Ko Bahut Lubhata Hai
Laakh Koshish Karta Hun Lekin
Humko Chain Kahan Aata Hai
Yahi To Mousam Hai Yaaron
Jab Ishq Jawaan Ho Jata Hai…..

Shairy15

PYAR EK KAHANI

Pyar Ek Kahani Hai Jo Na Shuru Hoti Hai Aur Na Hi Khatam Hoti Hai,
Kisi Ke Chale Jane Ke Baad Bhi Chahatein Kam Nhi Hoti Hain…
Maut To Fir Zindgi Me Kuchh Mayne Nhi Rakkha Krti,
Sabse Badi Saza To Sirf Judaai Hoti Hai…

Shairy14

BHOOL JANE KA AFSOS

Taabir Jo Mil Jaye To Ek Khwab Bahut Tha,
Jo Shakhs Gawa Baitha Hoon Nayaab Bahut Tha…

Main Bhala Kese Bacha Leta Kashti-E-Dil Ko Sagar,
Dariya-E-Muhabbat Me Sailaab Bahut Tha…

Haan Use Bhool Jane Ka Afsos To Rhega Zindgi Bhar,
Naseeb Pe Naa Jane Kyon Use Gumaan Bahut Tha…

Main To Bs Yunhi Badnaam Hota Chala Gaya E Dost,
Meri Zindgi Me Naa Jane Kyon Toofan Bahut Tha…

Nod32 Antivirus Usernames


Username: EAV-44489905
Password: nc53as5xjj
Expiry Date: 19.07.2011

Username: EAV-44489907
Password: u35x4memkd
Expiry Date: 19.07.2011

Username: EAV-44489940
Password: md43rmfhh7
Expiry Date: 19.07.2011

Username: EAV-44526485
Password: vtjbbhtx5c
Expiry Date: 20.07.2011

Username: EAV-44527070
Password: k62eu2pjh5
Expiry Date: 20.07.2011

Username: EAV-44527090
Password: k8u8ft7xnj
Expiry Date: 20.07.2011

Username: EAV-44849054
Password: mjmskh354d
Expiry Date: 28.07.2011

username:EAV-39036076
password:sxr7c8rxvu
Expiry Date: 15.06.2011

username:EAV-39103818
password:ret7sk6jen

username:EAV-39032730
password:78h7xdb8ut

username:EAV-39032816
password:jcba4dkpu3

Username: EAV-38612230
Password: fe7tacxe3s
Expiry Date: 04.06.2011

Username: EAV-38612240
Password: xfmpka7mm2
Expiry Date: 04.06.2011

Username: EAV-38612249
Password: fh4mu8et78
Expiry Date: 04.06.2011

Username: EAV-38650213
Password: n2ftfrhepn
Expiry Date: 05.06.2011

Username: EAV-38670837
Password: ct7hekkc3b
Expiry Date: 06.06.2011

Username: EAV-38670839
Password: vpeja8u8sk
Expiry Date: 06.06.2011

Username: EAV-38670887
Password: r4t7rn5ee5
Expiry Date: 06.06.2011

Username: EAV-38670905
Password: 576jmexsxr
Expiry Date: 06.06.2011

Username: EAV-32384711
Password: ekxhbxfemx
Expiration: 29/06/2012

Username: EAV-34657970
Password: th22675js6
Expiration: 08/06/2011

Username: EAV-34874172
Password: 78s5x84hja
Expiration: 11/06/2011

Username: EAV-34877599
Password: uc7uustpbp
Expiration: 12/06/2011

Username: EAV-34877600
Password: ptxkpt67m6
Expiration: 12/06/2011

Username: EAV-34912512
Password: dnkd43m4b4
Expiration: 13/06/2011

Username: EAV-34912513
Password: rusj3sma3h
Expiration: 13/06/2011

Username: EAV-43302245
Password: xv88fdst7r
Expiration: 27/06/2011

Username: EAV-45861774
Password: mx5tne8t4n
Expiration: 03/09/2011

Username: EAV-45865753
Password: je668c8des
Expiration: 03/09/2011

Username: EAV-45866271
Password: f4k6uxkcmc
Expiration: 03/09/2011

Username: EAV-45868505
Password: hufdd56c75
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45868578
Password: 6atpccuvka
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45893772
Password: dfuxr528ka
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45893775
Password: xb43jra6cj
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45894908
Password: jxjrn7v3pc
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45894939
Password: vxj4nhbhkf
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-45894943
Password: bahtc7xvm6
Expiration: 04/09/2011

Username: EAV-41431734
Password: vanfbte7f3
Expiration: 10/02/2012

Username: EAV-41431756
Password: mp2ktav24c
Expiration: 10/02/2012

Sunday, June 5, 2011

Shairy13

tum ye mat samjhna k hum tumhare bin g nahin sakty..
bs! tum paas na ho to sans ruk jati hai..
tum ye mat samjhna k tum se mujhe mhbt hai..
bs! tum sath na ho to kuch acha nahin lagta..
tum ye mat samjhna k koi rishta hai tum se..
bs tumhein dukh ho to aankh nm ho jati hai..
tum ye mt samjhna k tum meri jaan ho..
bs tum dil ki dharken ho or kuch bhi nahin..
tum ye mt samjhna k mein bhool gai tumhein..
bs sans ruk jaye gi or kuch b nahin..

Shairy12


Musafir tu bichratay hain
Rafaqt kab badalti hai
Muhabbat zinda rehti hai
Muhabbat kab badalti hai
Tumhi ko chahtay hain
Tumhi say pyar kartay hain
Yehi barson say adat hai
Aur adat kab badalti hai
Kali k phool banana
aur bikhar jana muqadar hai
Yehi qanun-e-fitrat hai
Aur fitrat kab badalti hai
Jo dil pay naksh kar jaaye aur
Aankhon mein simat aaaye
Alamat hai yeh chahat ki
Aur chahat kab badalti hai.....

Shairy11

Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai,
Kabhi dil soz lamhon se,
Kabhi bekar rasmon se,
Kabi taqdeer walon se,
Kabhi majbor kasmon se,
Magar yeh haar jati hai,
Kabhi yeh phool jaisi hai,
Kabhi yeh dhool jaisi hai,
Kabhi yeh chand jaisi hai,
Kabhi yeh dhoop jaisi hai,
Kabhi masrur karti hai kabhi yeh raug deti hai,
Kisi ka chain banti hai,
Kisi ko rool deti hai,
Kabhi le paar jati hai,
Kabhi yeh mar jati hai,
Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai!

Shairy10


Muddat hui koi shaks rulane nahi aaya,
In jalti hui aankhon ko koi bujhane nahi aaya,
Kehte the saath jiyenge saath marenge,
Ruthe the ek roz aajtak manane nahi aaya.


...............

*~*~**~*~**~~*~**~~*~**~
*~*
*~* Kuch Rah-e-Ishq Ki Masti Thi
*~* Kuch Log Thay Hum Deewanay Se
*~* Jab Sheher Tera Chor Dya
*~* Dil Laga Khoob Veeraney Mein
*~* Jo Jaan Se Bhi Pyarey Thay
*~* Woh Log Nazar Se Door Huye
*~* Ik Pyaas Si Dil Mein Uthti Hai
*~* Ab Yadoon Ko Dohraney Se
*~* Aey Moat Tu Theher Zarra
*~* Akhir Mein Deikh To Loon
*~* Baat Faqt Ek Pal Ki Hai
*~* Inkaar Naheen Mar Janey Se
*~*
*~*~**~*~**~~*~**~~*~**~


....................


Yeh mazaaq hai meri zaat se....
Yeh riwaaj terey sheher ka...

Kabhi is taraf kabhi us taraf...
Kya mizaaj hai terey sheher ka...

Yahan nafratein barri aam hain..
Yahan chahton ki qadar naheen...

Woh jo khoon tha merey jism mein....
Woh anaaj hai terey sheher ka..

Naheen hadd yahan kissi zulm ki..
Na hipaas hai kissi Rabat ka....

Woh jo haal tha yahan kal talak...
Wohi aaj hai terey sheher ka...

Yahan kaatna kissi or ko ...
Hai bahadri ki alaamtein...

Woh jo janglon mein bhi tha kabhi...
Wohi raaj hai terey sheher ka...


,,,,,,,,,,,,,,,


kuch dair hamary saath chalo
Ham Dil Ki Kahani Keh Dain Gay

Samjhe Na Jisy Tum Ankhon Say
Wo Baat Zubani Keh Dain Gay

Pholon Ke Trah Jab Honton Pay
Ik Shokh Tabasum Bikhry Gay

Dhery Sy Tumhary Kano Main
Ik Baat Purani Keh Dain Gay

Izhar-e-wafa Tum Kiya Jano
Ikrar-e-wafa Tum Kiya Jano

Ham Zikar Karain Gay Auroo Ka
Aor Apni Kahani Keh Dain Gay

.................

Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai,
Kabhi dil soz lamhon se,
Kabhi bekar rasmon se,
Kabi taqdeer walon se,
Kabhi majbor kasmon se,
Magar yeh haar jati hai,
Kabhi yeh phool jaisi hai,
Kabhi yeh dhool jaisi hai,
Kabhi yeh chand jaisi hai,
Kabhi yeh dhoop jaisi hai,
Kabhi masrur karti hai kabhi yeh raug deti hai,
Kisi ka chain banti hai,
Kisi ko rool deti hai,
Kabhi le paar jati hai,
Kabhi yeh mar jati hai,
Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai!


........................

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha


.....................