Popular Posts

Thursday, June 16, 2011

shairy25



Gham-e-zindagi teri raah mein,
shab-e-aarzo teri chaah mein,
jo ujar gaya woh basa nahin,
jo bichar gaya woh mila nahin,
jo dil-o-nazar ka suroor tha,
mere paas reh ke bhi door tha,
wohi ek ghulaab umeed ka,
meri shakh-jaan pe khila nahin..







Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa

Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see
Baatein ruki ruki see , Lehja thaka thaka saa
...
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein
Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa

Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki
Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa

Pehley bhi zindagi mein, kitney hee loug aaey
Woh her tarha sey lekin, auron sey tha juda saa

Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen
Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa

Ab such kahein tou yaaro, Hum ko khaber naheen thi
Bun jaaey ga qayamat, Aik waaqaya zara saa

Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke
Woh ajnabi tha laikin, lagta tha Aashna saa

shairy24



Kabhi mushkilo ka tha saamna, kabhi rahaton mein guzar gaye
Wo jo din the mere shabab ke, teri chahaton mein guzar gaye
Kabhi dil gaya, kabhi jaan gayi, kabhi rooh badan se nikal gaye
Wo jo chund lamhe the pyaar ke, wo shikayaton mein guzar gaye...










Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,
...
kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na rahe main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

shairy23


Us ne phir mera haal poocha hay
kitna mushkil sawaal poocha hay

hichkioon ka ajeeb lehja tha
baat ko taal taal poocha hay
...
aansuoon ki zubaan men us ne
jitna poocha, kamaal poocha hay

kia kabhi mil saken gay hum dono?
Mujh se mera khyaal poocha hay