Popular Posts

Monday, March 26, 2012

Shairy62


Kaha men ne kab mal o zar de k jatey
mohabbat k zinda'n men dar de k jatey

Men chiryo'n ko dana khilaya to karti
mujhey koi aangan shajar de k jatey

kari dhop mein chur kar tum gay ho
koi sahiba'n koi ghar day kay jaty

Men sabir sahi Noor pochon gi us se
mere sabr ka kuch samar de k jatey.

Shairy61

tujh se milney ka asar mujh pe hoa ha jana
mere siney men tera pyar basa ha jana
phir se ayi ha khayalon pe taghazul ki bahar
dil k sehra men koi phol khila ha jana

men agar chand se tasbeeh tujhey deta hon
tere chehrey ki chamak mujh se gila karti ha
jo men kehta hon tere lab hen gulabon ki tarah
surkh honton ki chatak mujh se gila karti ha

men ne dekha ha takhayyul k beyabanon men
tere har naqsh e kaf e pa se chaman bantey hen
baarha teri mohabbat men hoa ha yon bhi
khas o khashak baharon ka chalan bantey hen

to ha ik husn ka shahkar tujhey kya maloom
tere andaz niraley hen nirali to ha
mere ehsas men roshan ha teri subh e jamal
mera arman meri roh e khayali to ha

kash le kar to kabhi apni rifaqat ka charagh
gham ki tareek masafat se nikaley mujh ko
tor kar rasmon rawajon k puraney bandhan
pas a kar mere , siney se laga le mujh ko

Shairy60


phir pesh e nazar sorat e mahtab ha koi
ya meri nigaho'n men naya khab ha koi

ye bat gara'n khab ko ab kon bataye
terey liye is rat men bekhab ha koi

palkon pe jo roshan ha sar e sham e tamanna
wo ashk nahi gohar e nayab ha koi

ye sirf karisma ha meri chasm e talab ka
sehra men kahan gulshan e shadab ha koi

dunya k sahifey men meri zat bhi shayad
aalam o masa'ib ka naya bab ha koi

nawaqif e aadab e mohabbat ko khabar kya
kab se rah e umeed men betab ha koi

ye kis ki judai men teri aankh se yawar
din rat rawa'n moja e kho'n nab ha koi.

Shairy59

mohabbat ka nagar aabad rakhna
bila khof o khatar aabad rakhna

mohabbat men koi aasa'n nahi ha
wafa ki rahguzar aabad rakhna

shikasta hen dar o diwar is k
bara mushkil ha ghar aabad rakhna

naye afkar se mere khudaya!
mera shehr e hunar aabad rakhna

udasi keh rahi ha shehr e ja'n ki
hamarey bam o dar aabad rakhna

tum apni jagti aankho'n men jana!
koi khab e sahar aabad rakhna

kisi ki rat men din rat Yawar
diyar e chasm e tar aabad rakhna

Shairy58

pyar ki rah men dar lagta ha
bara mushkil ye safar lagta ha

ye udasi ka faso'n ha shayad
phika phika sa qamar lagta ha

shab ka manzar ha teri zulfon men
rukh pe ik rang e sahar lagta ha

bari khamosh ha us ghar ki faza
koi aasaib udhar lagta ha

taair e fikr ko az farsh ta arsh
aik lamhey ka safar lagta ha

men wo insan gazida hon jisey
apney saye se bhi dar lagta ha

roz kehta hon ghazal men Yawar
mujhey pyara ye hunar lagta ha

Shairy57

hazaron bar kehte hen hamen tum se mohabbat ha
sar e bazar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

kabhi jin ki ghani chaon men dono beth jatey they
wo sab ashjar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

men jab bhi pochta hon apney barey men khayal un ka
to wo har bar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

baharai'n jab chaman ki mehfilon men muskurati hen
gul o gulzar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

hamara raz e ulfat aashkara ho gaya kese
k ab aghyar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

sar e mehfil jo apna hal e dil kehtey nahi Yawar
pas e diwar kehtey hen hamen tum se mohabbat ha

Shairy57

Mom Bante Rahe Pighalte Rahe
Apni Umron Ko Hum Nigalte Rahe

Hum Adakaariyon Ke Shaidaaee
Roz Chehre Naye Badalte Rahe

Shahar Mein Ho Rahi Thi Nigrani
Aur Har Soo Makaan Jalte Rahe

Faiz-e-Tahzeeb-e-Nau , Ilahi Khair
Jhooti Shaanon Se Hum Bahalte Rahe

Ahle Himmat Ne Ma’aarke Jeete
Shaair-e-Zulf Haath Malte Rahe

Unki Zulfe Rasa Sanwarti Rahi
Kitne Logon Ke Dil Machalte Rahe

Rekhta Aap Se Koi Poochhe
Sabz Baghon Se Kyon Bahalte Rahe

Nod 32 Antivirus march 25 keys

EAV-59217742
mjxbmf4jnp

EAV-62016252
tpn4ckba6r

EAV-62016293
b5mnmfrvek

EAV-62016338
nd8v2utetu

EAV-62182216
tsjvr84p8r

EAV-62182237
5c8s7skvmf

EAV-62539707
du4r7u78nv

EAV-62542252
xtj85kmsxb

EAV-62542350
6t88jbjvmk

EAV-62599227
xm6smrcrff

EAV-62599271
4ex2mk4unu

EAV-62599280
dubs7p66d4