Popular Posts

Monday, June 27, 2011

Shairy36


1)Yoon to apne hi ashkon mein beh gaya hoon.
Phir bhi yaro tanha – tanha reh gaya hoon.

Ban gaya mohtaj dil unki nazer ka ;
mai fakeer -e- yaar banke reh gaya hoon.

Zindagi ki shakl mein hai ek bejaan ;
toota dil hai jann fanah mein lut gaya hoon.

Hona to wahi hai jo wo chahega ;
Mai to bus kirdar banke reh gaya hoon.

Jakhmi to dono hue baraber thay;
wo chal wasa aur mai tadapta reh gaya hoon.

Ro padata hoon bus jara si baat per;
Shayad mai thoda sa naadaan reh gaya hoon.

Ishk teri dooriyaa subhanallah ;
pas aya tauba karke reh gaya hoon.

Ek daur tha mai bhi bada khuddar tha ;
Per kya karun majboor banke reh gaya hoon.

Ye haal hai naakam hoker ishk mein;
Jaise koi maat khaker reh gaya hoon.

Hara bhi to apne dil se mastghan ;
Apne hi paase mein fansker reh gaya hoon

2)Jin k humsafar rooth jaya kartay hain
Wo chain se kab soya kartay hain
Sunatay nhi kisi ko dukh apna
Bas akelay me chup k roya kartay hain
Bari khoob ada hai ye Ehl e Wafa ki
aankhon me nami or honton se muskuraya kartay hain,
Bhalay hi hazaron shikway hon mehboob se,
Wo bas haal puch lay to sab bhool jaya kartay hain,
Bari ajeeb hai duniya Ehl e Dard ki
Tanhai me aksar mehfilon ko sajaya kartay hain

3)Kal RaaT main ne apny dil sE b Taluq toor diyaa,
PAAagal tujHEy bhool jane ki baat karta thaa.!!!!

4)Ghalteyon se juda wo bhe nai men bhe nai,

Dono insan hen khuda wo bhe nai men bhe nai.

Wo mujhe or men usay ilzaam dete hen mgar,

Apne ander jhankta wo bhe nai men bhe nai.

Maslehat ne krdia dono men paida ikhtilaaf,

Wrna fitrat ka bura wo bhe nai mey b nai. . . . .

♥♥♥♥ R Д H ε ě £ ♥♥♥♥

No comments:

Post a Comment

hi plz comments freinds!