Popular Posts

Sunday, December 11, 2011

Shairy56


Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,

U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghazab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai

Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai

Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai

Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai

Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai....


Dil Ko Gam Aankho Ko Saawan Chahiye
Mujhe Tu Nahi Bas Tera Daaman Chahiye
Sirf Chehre Se Kaha Banti Hai Baat
Ishq Mein To Dil Bhi Roshan Chahiye
Samundar Mein Kashti Hai Apni Alag
Mujhe Us Taraf Ik Kinara Chahiye
Wo Ab Kuch Masoom Se Ban Ne Lage Hai
Kuch Mujhe Bhi Mera Bachpan Chahiye
Dil Ko Gam Aankho Ko Saawan Chahiye
Mujhe Tu Nahi Bas Tera Daaman Chahiye


Baarish Ki Boondon Ka Aapke Hothon Se pisalna
Dil Ko Ghayal Kar Jata Hai
Reshmi Zulfon Mein Unka Sarakna
Dil Ko Bahut Lubhata Hai
Laakh Koshish Karta Hun Lekin
Humko Chain Kahan Aata Hai
Yahi To Mousam Hai Yaaron
Jab Ishq Jawaan Ho Jata Hai…..

Shairy55


Chaha Tha Kisi Ko Maine Zindagi Se Ziyada,
Pa Lunga Use Ek Din Ye Kiya Tha Vaada,

Dhonda Usse Har Jagah Par Uska Pata Na Laga,
Jab Mila Main Uss Se To Kismat Ne Thaga,

Use Pane Ki Chahat Mein Kho Baitha Sab Kuch,
Par Meri Chahat Ka Uss Bedard Ko Pata Na Laga,

Us Se Ki Dosti Use Pane Ki Umeed Mein,
Par Dosti Ke Siwa Kuch Aur Pa Na Saka,

Jab Kaha Us Se Ki Chahta Hoon Use Dil-O-Jaan Se,
Kaha Usne Ke Pyar- Mohabbat Me Kuch Na Rakha,

Kaha Use Ke Ek Bar Kar Tu Aitbar,
Usne Kaha Ke Pyar Vyar Sab Hai Bekar,

Kehti Hai Pyar Me Jisne Liya Apna Dil Laga,
Mili Hai Unhe Sirf Bewafai Aur Dhaga Maine Kaha,

Sanam Tujhe Kabi Dhoka Na Duga,
Tere Har Gham Har Dard-E-Sitam Sahunga,

Vo Bedard Boli Nhi Karogi Bharosa Chahe Tu,
Kuch Bhi Kahega Tu Hai Akela Bs Akela Hi Rahega,

Maine Kaha Nahi Chahti To Mar Jane De Mujhe,
Usne Kaha Mat Ja Teri Zarurat Hai Mujhe,

Mujhe Jane Kya Majburi Kya Zid Hai Us Bedard Ki,
Kehti Hai Mar Jayegi Magar Pyar Nahi Kar Sakti,

Kaha Use Ke Pa Na Saka To Teri Yaad Mein Mar Jaunga,
Boli Vo Bedard Ke Mar Kar Sabit Kuch Na Kar Paunga,

Abb Lagta Hai Mere Pyar Me Kuch Khas Baat Na Thi,
Apna Leti Par Shayad Mere Pyaar Ki Auqaat Na Thi,

Yaaron Koi Jakar Usse Itna To Bataao,
Kya Hota Hai Sacha Pyar Koi Usse Bhi Sikhao,

Vo Kya Jane Pyar Ki Keemat Kya Hoti Hai,
Jab Nahi Milta Pyar To Aankhe Kitni Roti Hain,

Kabhi Na Kabhi To Vo Kisi Se Dil Lagayegi,
Karega Vo Bewafai To Meri Wafa Ki Yaad Ayegi,

Tab Vo Bedard Mere Dard Ko Samajh Payegi,
Is Aashiq Ki Chahat Ko Fir Pana Vo Chahegi,

Par Afsos Use Gale Se Main Laga Na Paunga,
Kyuki Jannat Se wapas Main Laut Na Paunga.

Shairy54


Maine To Suna Hai Mohabbat Ibadat Hoti Hai,
Chalo Ibadat Kar Ke Dikhte Hai,

Maine To Suna Hai Mohabbat Khush Naseeb Logo Ko Milti Hai,
Chalo Apne Aap Ko Khush Naseeb Samaj Kar Dikhte Hai,

Maine To Suna Hai Mohabbat Main Gham Bohot Hote Hai,
Chalo Apne Aap Ko Ghamkhawar Kar Ke Dikhte Hai,

Maine To Suna Hai Mohabbat Main Tanhai Milti Hai,
Chalo Aapne Ap Ko Tanha Kar Ke Dikhte Hai,

Aye Duniya Walo Agar Mohabbat Main Kuch Bhi Hoo,
Hum To Ik Baar Apne Aap Ko Barbaad Kar Ke Dekhte Hai.


Tumhe Nazar Na Lage Apne-Begane Ki,

Zaroorat Hai Tumhe Sabse Chipane Ki,

Aarzoo Hai Ki Tum Hamari Ho Jao,

Bahot Hasrat Hai Tumhe Sine Se Lagane Ki.


Duniyan Waalon Se Dar Na Jaye Kahin, Ishq Tera Bikhar Na Jaye Kahin,
Doobta Ja Raha Hai Jis Mein Tu, Woh Nadi Bhi Utar Na Jaye Kahin,

Jis Taraf Se Palat Ke Aayi Main, Khauf Hai Tu Udhar Na Jaye Kahin,
Raah Takti Rahungi Main Lekin, Fikar Hai Tu Mukar Na Jaye Kahin,

Dard Hi Dard Ka Muhafiz Hai, Dard Had Se Guzar Na Jaye Kahin,
Sar Jhuka To Diya Hai Qadmon Mein, Bandgi Be Asar Na Jaye Kahin,

Ishq Ki Baargaah Mein “Seema” Husn Khud Hi Sanwar Na Jaye Kahin.


Mujhse Har Baar Wo Nazare Chura Leti Hai,

Maine Kaaghaz Par Bhi Bana Kar Dekhi Hai Uski Aankhein.

Shairy53

Shairy52


Aik Shaks Meri Zaat Main Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rulaaa Deta Hai
Raaatoon Ko Jab Main Tanhaan Hota Hoon
Wo Dheeray Say Choooo Ker Behlaaa Deta Hai
Wo Mujhe Me Basa Ha Kuch Is Tarhaan Se
Wo Hota Nahin Phirr Bhi Sath Rehta Hai
Kehta Hain Log Ke Wo Mujh Sa Juda Rehta Hai
Rooh Ban Ke Jo Mere Dill Ke Paaaas Rehta Hai
Wo Chup Ke Saa Aakee Kuch Keh Deta Hai
Phir Aaker Mujhe Kahin Hooosh Aata Hai
Aik Shaks Meri Zaaaat Me Shareek Rehta Hai
Wo Aaker Mujhe Phir Rula Deta Hai………………..!


Kafi Arsa Beet Gya Jane Ab Wo Kesa Hoga?
Waqt Ki Sari Karvi Baten Chup Chap Hi Sehta Hoga
Ab B Bhigi Barish Mein Wo
Bin Chatri K Chalta Hoga
Mujh Se Bichrre Arsa Beeta
Ab Wo Kis Se Lrrta Hoga
Acha Tha Jo Sath Hi Rehte Bad Men Usne Socha Hoga
Apne Dil Ki Sari Baten Khud Se Khud Hi Kehta Hoga?


kabhii lehrain tera chehra jo banaanay lag jayen
merii ankhain mujhay darya main bahaanay lag jayen
kabhii ik lamhaa-e-fursat jo muyassar aa jaaye
meri sochain mujhay soolii peh charhaanay lag jayen
intizaar uss kaa naa itnaa bhi ziyaadaa karnaa
kya khabar barf pighalnay main zamaanay lag jayen
aankh uthaa kar bhii na dekhain tujhay din main hum log
shab ko kaghaz peh tera chehraa banaanay lag jayen


Dabi dabi si wo muskurahat labon pe apne saja saja k
wo narm lahje main baat karna ada se nazrain jhuka k
wo aankh teri shararati si wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na aik pal bhi main thak gaya hoon hata hata k
wo tera hathon ki unglion ko mila k zulfon main kho sa jana
haya ko chehre pe phir sajana phool sa chahra khila khila k
wo hath hooron k ghar hoon jaise wo paon pariyon k par hoon jaise
nahi hai teri misaal jaana main thak gaya hoon bata bata k….!!



Tamana teri wajud ki hoti to dunya sa chen lata….
ISHQ tari rooh sa ha as liya khuda sa mangta hu

Shairy51


Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana
Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana
Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana
Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana
Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana
Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.


Wöh ki§i äur kä högä tou Qäyämät hö gi
Phir kisi kö bhi kisi se nä muhäbbät hö gi
Usy dekhäy köi ächä nähi lägtä mujh kö
is se bärh kar bhi köi åur muhäbbät hö gi
Räät käl chäänd kö dekhä töu yéh ehsääs huä
Wöh äkelä håi usåy meri zärurät hö gi
Aey “KHUDA” uskö kisi äur kä höne nä denä
Zindägi bhär mujhe phir tujh säy shikäyät hö gi.

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!
Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!
Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!
Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,
Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!
Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!