Popular Posts

Sunday, June 5, 2011

Shairy10


Muddat hui koi shaks rulane nahi aaya,
In jalti hui aankhon ko koi bujhane nahi aaya,
Kehte the saath jiyenge saath marenge,
Ruthe the ek roz aajtak manane nahi aaya.


...............

*~*~**~*~**~~*~**~~*~**~
*~*
*~* Kuch Rah-e-Ishq Ki Masti Thi
*~* Kuch Log Thay Hum Deewanay Se
*~* Jab Sheher Tera Chor Dya
*~* Dil Laga Khoob Veeraney Mein
*~* Jo Jaan Se Bhi Pyarey Thay
*~* Woh Log Nazar Se Door Huye
*~* Ik Pyaas Si Dil Mein Uthti Hai
*~* Ab Yadoon Ko Dohraney Se
*~* Aey Moat Tu Theher Zarra
*~* Akhir Mein Deikh To Loon
*~* Baat Faqt Ek Pal Ki Hai
*~* Inkaar Naheen Mar Janey Se
*~*
*~*~**~*~**~~*~**~~*~**~


....................


Yeh mazaaq hai meri zaat se....
Yeh riwaaj terey sheher ka...

Kabhi is taraf kabhi us taraf...
Kya mizaaj hai terey sheher ka...

Yahan nafratein barri aam hain..
Yahan chahton ki qadar naheen...

Woh jo khoon tha merey jism mein....
Woh anaaj hai terey sheher ka..

Naheen hadd yahan kissi zulm ki..
Na hipaas hai kissi Rabat ka....

Woh jo haal tha yahan kal talak...
Wohi aaj hai terey sheher ka...

Yahan kaatna kissi or ko ...
Hai bahadri ki alaamtein...

Woh jo janglon mein bhi tha kabhi...
Wohi raaj hai terey sheher ka...


,,,,,,,,,,,,,,,


kuch dair hamary saath chalo
Ham Dil Ki Kahani Keh Dain Gay

Samjhe Na Jisy Tum Ankhon Say
Wo Baat Zubani Keh Dain Gay

Pholon Ke Trah Jab Honton Pay
Ik Shokh Tabasum Bikhry Gay

Dhery Sy Tumhary Kano Main
Ik Baat Purani Keh Dain Gay

Izhar-e-wafa Tum Kiya Jano
Ikrar-e-wafa Tum Kiya Jano

Ham Zikar Karain Gay Auroo Ka
Aor Apni Kahani Keh Dain Gay

.................

Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai,
Kabhi dil soz lamhon se,
Kabhi bekar rasmon se,
Kabi taqdeer walon se,
Kabhi majbor kasmon se,
Magar yeh haar jati hai,
Kabhi yeh phool jaisi hai,
Kabhi yeh dhool jaisi hai,
Kabhi yeh chand jaisi hai,
Kabhi yeh dhoop jaisi hai,
Kabhi masrur karti hai kabhi yeh raug deti hai,
Kisi ka chain banti hai,
Kisi ko rool deti hai,
Kabhi le paar jati hai,
Kabhi yeh mar jati hai,
Mohabbat jeet hoti hai magar yeh haar jati hai!


........................

Labon pay harf na hi koi sawal rakhta tha
Kabhi main zabt main itna kamal rakhta tha

Khaber kahan thi mujhy wo bhool jaye ga
Aik aik cheez jo meri sambhal rakhta tha

Bichartay waqt bazahir to kuch na bola tha
Mager nigah main so so sawal rakhta tha

Woh muskura kay bohat dair chup sa raha
Hansi ki aar main jaise malal rakhta tha

Suna hai ab log usay bohat satatay hain
Jis aik shakhs ka main bohat khayal rakhta tha


.....................


No comments:

Post a Comment

hi plz comments freinds!