Popular Posts

Tuesday, June 7, 2011

Shairy18


KHUSHI KA EHSAAS:
Zindagi Kuch Chhoti Pad Gayi To Koi Gam Nahin
Usko Tera Pyaar To Mila
Bahut Aansu Chupaye Baithe The Hum Dard-E-Jigar Mein
Unke Chalakte Hi Dil Ko Karaar To Mila
Ab To Bas Chand Saansein Bachi Hain Jeene Ke Liye
Teri Wajah Se Unko Beete Lamhon Ki Khushi Ka Ehsaas To Mila…

NAZARAIN PYAR KI PIYASI:
Mausam Mein Kuch Nami Thi, Halki Halki Bunda Barish Thi
Bikhre Gesuu Tere Rukhsana, Hua Sharm-O-Haya Dil-E-Nishaana
Rukh Pe Tabassum Ki Lali, Nargis Nazrein Pyar Ki Pyasi
Hont Shabnam-E-Shauq-E-Talab, Taskiin-E-Dil Rezaa Rezaa Alag…

AWAL AWAL KI MOHABBAT:

awal awal ki muhabbat kay nashay yaad tu kar bay piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanaan

akhir akhir tu ye aalam hay kay ab hosh naheen rug-e-meena sulag uthi kay rug-e-jaan jaanaan

mudatoon say yehi aalam na twaku na umeed dil pukaray hi chalay jaata hay jaanaan jaanaan

hum bhi kia sada thay hum nay bhi samajh rakha tha ghum-e-doraan say judaa hay ghum-e-jaanaan jaanaan

ab kay khuch aisi saji mehfil-e-yaaraan jaanaan sar ba zanoo hay koi sar bagiraybaan jaanaan

har koi apni hi awaz say kaanp uthta hay har koi apnay hi saye say hirassan jaanaan

jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagtaa hay shehar ka shehar hua dakhil-e-zindaan jaanaan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aye aur say aur hoye dard kay unwaan jaanaan

hum kay roothi hui rut ko bhi mana letay thay hum nay dekha hi naa tha mousam-e-hijraan jaanaan

hosh aya tu sabhi khwaab thay reza reza jaisay urtay hoye awrak-e-pareeshaan jaanaan..

No comments:

Post a Comment

hi plz comments freinds!