Popular Posts

Sunday, June 5, 2011

Shairy12


Musafir tu bichratay hain
Rafaqt kab badalti hai
Muhabbat zinda rehti hai
Muhabbat kab badalti hai
Tumhi ko chahtay hain
Tumhi say pyar kartay hain
Yehi barson say adat hai
Aur adat kab badalti hai
Kali k phool banana
aur bikhar jana muqadar hai
Yehi qanun-e-fitrat hai
Aur fitrat kab badalti hai
Jo dil pay naksh kar jaaye aur
Aankhon mein simat aaaye
Alamat hai yeh chahat ki
Aur chahat kab badalti hai.....

No comments:

Post a Comment

hi plz comments freinds!