Popular Posts

Tuesday, June 7, 2011

Shairy20



SHAYAD MERI MOHABBAT

Ek Kasak Dil Me Dabi Reh Gayi
Zindagi Me Unki Kami Reh Gayi
Itni Ulfat Ke Baad Bhi Wo Mujhe Na Mili
Shayad Meri Mohabbat Me Kuchh Kami Reh Gayi

DIL KI AWAZ

Kalam Chalta Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon…

HASTI MITAKAR BHI TANHA

Hum Apni Hasti Mitakar Bhi Tanha Hain
Sab Kuch Luta Kar Bhi Tanha Hain
Log Door Tak Jate Hain Kisi Ke Liye
Aur Hum Uske Paas Rehkar Bhi Tanha Hain…

KANCH KE PAIMANE

Unko Khabar Hai Mere Tute Armaano Ki
Aaj Zarurat Padegi Kanch Ke Paimane Ki
Khali Na Hone Dena Jaam Yaaro
Varna Phir Yaad Aayegi Guzare Zamane Ki…

Shab-e-Gham

Jahan Phooloun ko khilna tha, Waheen Khiltey To Acha Tha, Tumhi ko Humne Chaha Tha , Tumhi Miltey To Acha Tha.

Koi Aa kar Humein Pooche, Tumhein Kaise Bhulaya Hai, Tumhare Khat ko Ashkoun se, Shab-e-Gham mein Jalaya Hai Hazaroun Zakhm Aise Hain , Agar Silte To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.”

Tumhein Jitna Bhulaya Hai, Tumhari Yaad aayi Hai, Bahar-e-No Jo Aayi Hai , Teri Khusboo Bhi Laayi Hai. Tumhare Lab Meri Khatir, Agar Hiltey To Acha Tha.

Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha.

Mila Hai Lutf Bhi Humko, Haseen Yaadoun ki Jhilmil mein, Kati Hai Zindagi Tum Bin , Magar Ek Aas Hai Dil Mein. Agar Aate To Acha Tha , Agar Miltey To Acha Tha.

” Tumhi ko Humne Chaha Tha, Tumhi Miltey To Acha Tha

SHEESHE KI TARAH

Main Us Ke Haatho Mein Tha
Tute Hue Sheeshe Ki Tarah
Badi Umeed Thi Ke Bikhrane Nahi Dega
Bas Giraya Kuch Is Ada Se Ke Simatne Ki Aas Hi Na Rahi…

NASEEB SE SHIKAYAT

Khamosh Guzar Jate Hain Wo Kareeb Se
Sawal Uth Te Hain Dil Mein Ajeeb Se
Wo Khafa Hai Ya Ye Unki Ada Hai
Shikayat Bhi Kya Kare Apne Naseeb Se…

YAADO KE SAHARE

Aap Ki Dhadkan Se Hai Rishta Humara
Aap Ki Saanso Se Hai Nata Humara
Bhool Kar Bhi Kabhi Bhool Na Jana
Aap Ki Yaado Ke Sahare Hai Jina Humara…

Hansata hai ishq rulata hai ishq

Hansaata hai ishQ rulaata hai IshQ rang kaise kaise dikhaata hai ishQ

Daulaat hai ishQ ,shohraat hai ishQ Husan ke bazaar main bikta hai ishQ

Izhaar hai ishQ,aur Inkaar hai ishQ Dil ko beqaraar bhi kar deta hai ishQ

Deedaar hai ishQ, iNtezaar hai ishQ har koi Duao.n maiN mangta hai ishQ

kahiN aabaad, kahiN barbaad hai ishQ Mausam ki tarah karwat badalta hai ishQ

Hai mandir main ishQ,masjid maiN ishQ Khuda bhi apne bando.n se kaarta hai ishQ

IshQ ki chiNgari se bachale damaN “Faraz” rabb ki QASAM bahot tadapata hai ishQ

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha

Khuli jo aankh to wo tha na wo zamana tha Dahekti aag thi tanhayi thi fasana tha.

Ghamon ne baant liya hai mujhe yun aapus main Ki jaise mai koi loota hua khazana tha.

Ye kya ki chand hi kadmon pe jhuk ke baith gaye Tumhe to saath mera door tek nibhana tha.

Mujhe jo mere lahoo main dabo ke guzra hai Wo koi ger nahin yaar ek purana tha.

Khud apne he haath se ‘Mohsin’ usko kaat diya Ki jis Ki taref se pahle ye aashiyaana tha.

Tu jo aa jaaye to

Tu jo aa jaaye to is ghar ko sanwarta dekhu Ek muddat se jo veeraan hai wo basta dekhu..!!!

Khawab bankar tu bahta rahe jannat ke jharne Aur bas mai isi mausam ko nikharta dekhu..!!!

Jis’se milna nahi us’se mohabbat kaisi Sochata jaau magar dil mein utarta dekhu..!!!!

Dil gayaa tha to ye aankhen bhi koi le jaata Mai faqat ek hi tasveer kahan tak dekhu..!!!!

Chand lamhe jo tere Ishq ke mil jaate hain In hi lamhon ko mai sadiyon mein badalta dekhu..!!!!

No comments:

Post a Comment

hi plz comments freinds!