mohabbat ka nagar aabad rakhna
bila khof o khatar aabad rakhna
mohabbat men koi aasa'n nahi ha
wafa ki rahguzar aabad rakhna
shikasta hen dar o diwar is k
bara mushkil ha ghar aabad rakhna
naye afkar se mere khudaya!
mera shehr e hunar aabad rakhna
udasi keh rahi ha shehr e ja'n ki
hamarey bam o dar aabad rakhna
tum apni jagti aankho'n men jana!
koi khab e sahar aabad rakhna
kisi ki rat men din rat Yawar
diyar e chasm e tar aabad rakhna
No comments:
Post a Comment
hi plz comments freinds!