pyar ki rah men dar lagta ha
bara mushkil ye safar lagta ha
ye udasi ka faso'n ha shayad
phika phika sa qamar lagta ha
shab ka manzar ha teri zulfon men
rukh pe ik rang e sahar lagta ha
bari khamosh ha us ghar ki faza
koi aasaib udhar lagta ha
taair e fikr ko az farsh ta arsh
aik lamhey ka safar lagta ha
men wo insan gazida hon jisey
apney saye se bhi dar lagta ha
roz kehta hon ghazal men Yawar
mujhey pyara ye hunar lagta ha
No comments:
Post a Comment
hi plz comments freinds!